Sunday, July 1, 2012

Kyun Main Jaagoon - Shafqat Amanat Ali (Patiala House)




Mujhe yunhi karke khwaabon se judaa
Jaane kahan chup ke baitha hai khuda
Jaanu na kab hua khud se gumshuda
Kaise jiyun rooh bhi mujhse hai judaa

Kyun meri raahein, mujhse pooche ghar kahan hai
Kyun mujhse aake, dastak pooche dar kahan hai
Raahein aisi jinki manzil hi nahin
Dhoondho mujhe ab main rehta hoon wahin
Dil hai kahin aur dhadkan hai kahin
Saansein hai magar kyun zinda main nahin

Rait bani haathon se yun beh gayi
Takdeer meri bikhri har jagah
Kaise likhun phir se nayi daastan
Gham ki siyahi dikhti hai kahan
Aahein jo chuni hain meri thi raza
Rehta hoon kyun phir khud se hi khafa
Aisi bhi hui thi mujhse kya khata
Tune jo mujhe di jeenay ki saza

Banday tere maathe pe hain jo kheenchay
Bas chand lakeeron jitna hai jahaan
Aansu mere mujhko mita te hain rahe
Rab ko hukm na mit ta hai yahan
Raahein aisi jinki manzil hi nahin
Dhoondho mujhe ab main rehta hoon wahin
Dil hai kahin aur dhadkan hai kahin
Saansien hai magar kyun zinda main nahin

Kyun main jaagoon, aur woh sapne bo raha hai
Kyun mera rab yun, aankhien khole so raha hai
Kyun main jaagoon


No comments:

Post a Comment


Popular Posts

Total Pageviews

Categories

Blog Archive